|
Asli
Funny Shayari
Comedy
Shayari
1)
Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai
Kuch is tarah se Haseenon ka pyaar dekha hai
Unhe khilane pilaane main hui hai yeh haalat
Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai...
2)
Woh jab chalti hai to raahon main
100-100 ke note bichata hoon
Woh chaali jati hai, tab uthaa leta hoon...
3)
kabootar ke do par
(wah wah)
kabootar ke do par....
ek idhar ek udhar
4)
Ja raha tha jindagi ki raah me galib ki mod aaya
(bahut khoob)
to ja raha tha jindagi ki raah me galib ki mod aaya
aur mein mud gaya.
5)
aasman mein char tare
aasman mein char tare
do tumhare do hamare
6)
Ab samjha tere rukhsaar per is til
ka matlab
Husn-e-darbaar par darbaan,
sorry,
machchhar bitha rakha hai.
7)
Gali mein doolhe ka chera buland
tha
Jab sehra utha ke dekha…ek bazaar band tha.
8)
Humne unki yaad mein ro-ro kar tub
bhar diye.
Wo itne besharam , usme naha ke chal diye.
- Jaideep Panchal (jaideeppanchal@hotmail.com)
9)
Teri julfey yu
lehra rahi hai...
Teri julfey yu lehra rahi hai...
Jaise koi bhains poonch hila rahi hai...
10)
Kaash jo tehre
chehre pe, chechak ke daag hote,
Chaadn to tu hai hi, sitare bhi saath hote!
- Hashim Taylor (ht446@yahoo.com)
AsliMasti |