1)
Bikhari hui zulfoon ko girahgeer bana lo,
rakhna hai mujhe kaid to zanjeer bana lo
kaagaz pe lakeeren to bahut kheech le tumne,
ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo
2)
Jugnu koi Sitaaron ki Mehfil mein kho gaya,
Itna na kar Malaal Jo Hona tha ho gaya!
Parwardigaar Jaanta hai tu Dilon ka Haal,
Main Jee Na paaungaa Jo use Kuchh bhi Ho gaya!
3)
Hamain kheench kar ishq laaya hai tera
Tere dar pe hum ne lagaaya hai dera
Hamain hoga jab tak na deedaar tera
yahin subh hogi yahin raat hogi
4)
Khuda Jab Hans
deta Hai to nazaaqat aa hi Jaati Hain,
Khuda Jab Hans deta Hai to nazaaqat aa hi Jaati Hain,
Nigaahen
char milti hain to mohabbat ho hi jaati hain.
B.K.Singh (
bksingh1978@rediffmail.com )
5)
WAQT TAU HUMAIN BHULAA CHUKA HAI,
MUQQADDAR BHI NA BHULAA DE,
PYAAR HUM ISLIYE NAHIN KARTE,
DARTE HAIN KOYE PHIR SE NA RULAADE
6)
Tute dil ki hasraton ka dil main basera rahega
Aankh meri jo royegi to dard tera rahega
kuch is tarah samaya hai rag rag main tera pyar
Aankhari saans rahane tak labon pe tera naam rahega
7)
Kaun jaane kab maut ka paigaam aa jaaye,
kab jindagi ki aakhiri shaam aa jaaye.
Hum to karte hai aise mauke ki talaash,
Kaash humaari jindagi aapke kisi kaam aa jaaye
8)
hum kabhi apno se khafa ho nahi sakte,
dosti ke riste bewafa ho nahi sakte,
aap bhale hume bhula ke so jao,
hum aap ko yaad kiye bina so nahi sakte.....
- Om Prakash (om_111p@indiatimes.com)
9)
Karenge yaad log mujhako kya pyaar kiya tha,
Karenge yaad log mujhako kya pyaar kiya tha,
Denge missal tere naam ki kya tune dard diya tha...
10)
Dil ke dard juban pe liya nahin karte,
Hum apni aakhon se aansu bahaya
nahin karte,
Zakhm kitana hi gahara kyon na ho,
Hum apne honte se
muskrahat hataya nahi karte.
B.K.Singh (
bksingh1978@rediffmail.com )
AsliMasti